Thursday 29 September 2011

Yeh Duniya agar mil bhi jayaye to kya hai - IT Style


If Guru Dutt had been a software consultant in the US.
(The following should be sung to the tune of an old Hindi classic song sung by late Mohammed Rafi. "Yeh Duniya agar mil bhi jayaye to kya hai...")
YEH DOCUMENT, YEH MEETINGS, YEH FEATURES KI DUNIYA
YEH INSAAN KE DUSHMAN, CURSORS KI DUNIYA
YEH DEADLINES KE BHOOKE, MANAGEMENT KI DUNIYA
YEH PRODUCT AGAR BAN BHI JAAYE TO KYA HAI?
YAHAAN EK KHILONA HAI PROGRAMMER KI HASTI
YEH BASTI HAI MURDA BUG-FIXERS KI BASTI
YAHAAN PAR TO RAISES HAI, INFLATION SE SASTI
YEH REVIEW AGAR HO BHI JAAYE TO KYA HAI?
HAR EK KEYBOARD GHAYAL, HAR EK LOGIN PYAASI
EXCEL MEIN ULJHAN, WINWORD MEIN UDAASI
YEH OFFICE HAI YA AALAME MICROSOFT KI
YEH RELEASE AGAR HO BHI JAAYE TO KYA HAI?
JALAA DO ISE, PHOONK DO YEH MONITOR
MERE SAAMNE SE HATAA DO YEH MODEM
TUMAHAARA HAI TUMHI SAMBHAALO YE COMPUTER
YEH PRODUCT AGAR CHAL BHI JAAYE TO KYA HAI?

No comments:

Post a Comment